Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

humse do-chaar bazm mein dhyan aur ki taraf

Shad Lakhnavi

humse do-chaar bazm mein dhyan aur ki taraf

Shad Lakhnavi

MORE BYShad Lakhnavi

    ham se do-chār bazm meñ dhyān aur taraf

    aañkh is taraf lagā.ī hai kaan aur taraf

    abrū se ham shahīd mizha se raqīb huuñ

    talvār idhar lagā.iye baan aur taraf

    said-e-zabūñ vo huuñ jo ravāñ tiir idhar huā

    us qazā ne bolī kamān aur taraf

    ham bekasoñ qabr sivā hargiz ai falak

    nam-gīr ko na abr ke taan aur taraf

    yārab kare jo husn ḳhairāt vo sanam

    mere sivā kare nahīñ daan aur taraf

    utre na kis tarah mirī āñkhoñ meñ ḳhuun 'shād'

    detā mujhe dikhā ke hai paan aur taraf

    hum se do-chaar bazm mein dhyan aur ki taraf

    aankh is taraf lagai hai kan aur ki taraf

    abru se hum shahid mizha se raqib hun

    talwar idhar lagaiye ban aur ki taraf

    said-e-zabun wo hun jo rawan tir idhar hua

    us ki qaza ne boli kaman aur ki taraf

    hum bekason ki qabr siwa hargiz ai falak

    nam-gir ko na abr ke tan aur ki taraf

    yarab kare jo husn ki KHairaat wo sanam

    mere siwa kare nahin dan aur ki taraf

    utre na kis tarah meri aankhon mein KHun 'shad'

    deta mujhe dikha ke hai pan aur ki taraf

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now