humse guftugu aise de koi bayan jaise
ham se guftugū aise de koī bayāñ jaise
qā.ede ke lafzoñ ko mil ga.ī zabāñ jaise
dostī kī ye manzil hai vabāl-e-jāñ kitnī
baat baat par abrū khiñch ga.e kamāñ jaise
bāt-chīt yāroñ se pul-sirāt par chalnā
lafz miltā rahtā hai bazm ho dukāñ jaise
dekhtā huuñ chehroñ ko maiñ talāsh meñ apnī
naqsh ḳhuub ġhairoñ ke hoñ mirā nishāñ jaise
yuuñ sambhāl kar rakh lī dil meñ dhuul yādoñ kī
kārvāñ kī manzil ho gard-e-kārvāñ jaise
hum se guftugu aise de koi bayan jaise
qaede ke lafzon ko mil gai zaban jaise
dosti ki ye manzil hai wabaal-e-jaan kitni
baat baat par abru khinch gae kaman jaise
baat-chit yaron se pul-siraat par chalna
lafz milta rahta hai bazm ho dukan jaise
dekhta hun chehron ko main talash mein apni
naqsh KHub ghairon ke hon mera nishan jaise
yun sambhaal kar rakh li dil mein dhul yaadon ki
karwan ki manzil ho gard-e-karwan jaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.