humse gumrah zamane ne kahan dekhe hain
ham se gumrāh zamāne ne kahāñ dekhe haiñ
ham ne miTte hue qadmoñ ke nishāñ dekhe haiñ
aap ne dekh ke har ik ko nazar pherī hai
aap ne sāhib-e-ehsās kahāñ dekhe haiñ
zindagī sīdhī sī ik raah nahīñ hai ai dost
is meñ jo moḌ haiñ vo tū ne kahāñ dekhe haiñ
dil jahāñ larze umīdoñ kā tasavvur kar ke
maiñ ne ummīd ke āsār vahāñ dekhe haiñ
uTh ga.ī aañkh agar merī to jam jā.egī
aap ne dīda-e-har-sū-nigrāñ dekhe haiñ
hum se gumrah zamane ne kahan dekhe hain
hum ne miTte hue qadmon ke nishan dekhe hain
aap ne dekh ke har ek ko nazar pheri hai
aap ne sahib-e-ehsas kahan dekhe hain
zindagi sidhi si ek rah nahin hai ai dost
is mein jo moD hain wo tu ne kahan dekhe hain
dil jahan larze umidon ka tasawwur kar ke
main ne ummid ke aasar wahan dekhe hain
uTh gai aankh agar meri to jam jaegi
aap ne dida-e-har-su-nigran dekhe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.