humse kuchh aage zamane mein hua kya kya kuchh
ham se kuchh aage zamāne meñ huā kyā kyā kuchh
to bhī ham ġhāfiloñ ne aa ke kyā kyā kuchh
dil jigar jaan ye bhasmant hue siine meñ
ghar ko ātish dī mohabbat ne jalā kyā kyā kuchh
kyā kahūñ tujh se ki kyā dekhā hai tujh meñ maiñ ne
ishva-o-ġhamza-o-andāz-o-adā kyā kyā kuchh
dil gayā hosh gayā sabr gayā jī bhī gayā
shaġhl meñ ġham ke tire ham se gayā kyā kyā kuchh
aah mat pūchh sitamgār ki tujh se thī hameñ
chashm-e-lutf-o-karam-o-mahr-o-vafā kyā kyā kuchh
naam haiñ ḳhasta-o-āvāra-o-bad-nām mire
ek 'ālam ne ġharaz mujh ko kahā kyā kyā kuchh
tarfa-e-sohbat hai ki suntā nahīñ tū ek mirī
vāste tere sunā maiñ ne sunā kyā kyā kuchh
hasrat-e-vasl-o-ġham-e-hijr-o-ḳhayāl-e-ruḳh-e-dost
mar gayā maiñ pe mire jī meñ rahā kyā kyā kuchh
dard-e-dil zaḳhm-e-jigar kulfat-e-ġham dāġh-e-firāq
aah 'ālam se mire saath chalā kyā kyā kuchh
chashm-e-namnāk o dil-e-pur jigar-e-sad-pāra
daulat-e-ishq se ham paas bhī thā kyā kyā kuchh
tujh ko kyā banñe bigaḌne se zamāne ke ki yaañ
ḳhaak kin kin kī huī sirf banā kyā kyā kuchh
qibla-o-kā'ba ḳhudā-vand-o-malāz-o-mushfiq
muztarib ho ke use maiñ ne likhā kyā kyā kuchh
par kahūñ kyā raqam shauq kī apne tāsīr
har sar-e-harf pe vo kahne lagā kyā kyā kuchh
ek mahrūm chale 'mīr' hameñ 'ālam se
varna 'ālam ko zamāne ne diyā kyā kyā kuchh
hum se kuchh aage zamane mein hua kya kya kuchh
to bhi hum ghafilon ne aa ke kya kya kuchh
dil jigar jaan ye bhasmant hue sine mein
ghar ko aatish di mohabbat ne jala kya kya kuchh
kya kahun tujh se ki kya dekha hai tujh mein main ne
ishwa-o-ghamza-o-andaz-o-ada kya kya kuchh
dil gaya hosh gaya sabr gaya ji bhi gaya
shaghl mein gham ke tere hum se gaya kya kya kuchh
aah mat puchh sitamgar ki tujh se thi hamein
chashm-e-lutf-o-karam-o-mahr-o-wafa kya kya kuchh
nam hain KHasta-o-awara-o-bad-nam mere
ek 'alam ne gharaz mujh ko kaha kya kya kuchh
tarfa-e-sohbat hai ki sunta nahin tu ek meri
waste tere suna main ne suna kya kya kuchh
hasrat-e-wasl-o-gham-e-hijr-o-KHayal-e-ruKH-e-dost
mar gaya main pe mere ji mein raha kya kya kuchh
dard-e-dil zaKHm-e-jigar kulfat-e-gham dagh-e-firaq
aah 'alam se mere sath chala kya kya kuchh
chashm-e-namnak o dil-e-pur jigar-e-sad-para
daulat-e-ishq se hum pas bhi tha kya kya kuchh
tujh ko kya banne bigaDne se zamane ke ki yan
KHak kin kin ki hui sirf bana kya kya kuchh
qibla-o-ka'ba KHuda-wand-o-malaz-o-mushfiq
muztarib ho ke use main ne likha kya kya kuchh
par kahun kya raqam shauq ki apne tasir
har sar-e-harf pe wo kahne laga kya kya kuchh
ek mahrum chale 'mir' hamein 'alam se
warna 'alam ko zamane ne diya kya kya kuchh
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0428
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.