humse mil kar koi guftugu kijiye
ham se mil kar koī guftugū kījiye
puurī dil kī yahī justujū kījiye
aap kī dushmanī kā maiñ huuñ mo'tarif
vaar kiije magar dū-badū kījiye
dāman-e-dil kī lākhoñ huiiñ dhajjiyāñ
kījiye kījiye ab rafū kījiye
phuul mausam meñ kāñToñ ke bevpār se
jism-o-jān-o-jigar mat lahū kījiye
zindagī ho magar dard-e-hijrāñ na ho
aise jiine kī kyā aarzū kījiye
aap kitne hasīñ haiñ nahīñ jānte
aa.ine ko zarā rū-ba-rū kījiye
'farhat'-e-jāñ kī kyuuñ justujū kījiye
bujhte jīvan kī kyā ab numū kījiye
hum se mil kar koi guftugu kijiye
puri dil ki yahi justuju kijiye
aap ki dushmani ka main hun mo'tarif
war kije magar du-badu kijiye
daman-e-dil ki lakhon huin dhajjiyan
kijiye kijiye ab rafu kijiye
phul mausam mein kanTon ke bewpar se
jism-o-jaan-o-jigar mat lahu kijiye
zindagi ho magar dard-e-hijran na ho
aise jine ki kya aarzu kijiye
aap kitne hasin hain nahin jaante
aaine ko zara ru-ba-ru kijiye
'farhat'-e-jaan ki kyun justuju kijiye
bujhte jiwan ki kya ab numu kijiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.