humse na hui jurat-e-izhaar-e-tamanna
ham se na huī jur.at-e-iz.hār-e-tamanna
ik umr rahe dil meñ liye ḳhār-e-tamannā
dil ho gayā hai jab se giraftār-e-tamanna
haañ sah rahe haiñ tab se ham āzār-e-tamanna
ai dost bujhā de ki abhī jaan hai baaqī
ab phūñk hī Dālegī mujhe nār-e-tamannā
lillāh nahīñ koī utar jaane kī sūrat
dosh-e-dil-e-nāzuk pe hai vo bār-e-tamannā
'maqbūl' isī meñ hai jo ḳhushnūdī-e-yārāñ
to ham bhī kiye dete haiñ īsār-e-tamanna
hum se na hui jurat-e-izhaar-e-tamanna
ek umr rahe dil mein liye KHar-e-tamanna
dil ho gaya hai jab se giraftar-e-tamanna
han sah rahe hain tab se hum aazar-e-tamanna
ai dost bujha de ki abhi jaan hai baqi
ab phunk hi Dalegi mujhe nar-e-tamanna
lillah nahin koi utar jaane ki surat
dosh-e-dil-e-nazuk pe hai wo bar-e-tamanna
'maqbul' isi mein hai jo KHushnudi-e-yaran
to hum bhi kiye dete hain isar-e-tamanna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.