humse puchha kya biti hai aaKHir-e-shab ke maron par
ham se pūchhā kyā biitī hai āḳhir-e-shab ke māroñ par
sahrā sahrā rañg bikhere raqs kiyā añgāroñ par
ik saaya sharmātā lajātā raah meñ tanhā chhoḌ gayā
maiñ parchhā.īñ DhūñD rahā huuñ TuuTī huī dīvāroñ par
sar-gashta the mauj-e-havā se biit gayā vo mausam to ham
barg-e-ḳhizāñ kī mānind ab āvāra haiñ kohsāroñ par
bhūlī-bisrī yādeñ aa kar sargoshī kartī haiñ
phir se koī giit sunāo dil ke shikasta tāroñ par
hum se puchha kya biti hai aaKHir-e-shab ke maron par
sahra sahra rang bikhere raqs kiya angaron par
ek saya sharmata lajata rah mein tanha chhoD gaya
main parchhain DhunD raha hun TuTi hui diwaron par
sar-gashta the mauj-e-hawa se bit gaya wo mausam to hum
barg-e-KHizan ki manind ab aawara hain kohsaron par
bhuli-bisri yaaden aa kar sargoshi karti hain
phir se koi git sunao dil ke shikasta taron par
- Book : Sahar Numa (Pg. 59)
- Author : Ishrat Qadri
- Publication : Madhya Pradesh Urdu Academy (1984)
- Edition : 1984
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.