humse ruThi har KHushi hai aaj kal
ham se rūThī har ḳhushī hai aaj kal
kashmakash meñ zindagī hai aaj kal
ab shumār-e-dushmanāñ mumkin nahīñ
dostoñ kī hī kamī hai aaj kal
jahl kā hai bol baalā chaar sū
āgahī anqā huī hai aaj kal
lafz ko bartā salīqe se magar
ma.anaviyyat kī kamī hai aaj kal
naġhmagī us meñ na sheriyat kahīñ
shā.irī be-kaif sī hai aaj kal
hai taqāza vaqt kā kyā kījiye
dushmanoñ se dostī hai aaj kal
amn gar qaa.em rahe to kis tarah
sharpasandī baḌh ga.ī hai aaj kal
inqalāb aa.egā kaise ai 'zakī'
sarfaroshoñ kī kamī hai aaj kal
hum se ruThi har KHushi hai aaj kal
kashmakash mein zindagi hai aaj kal
ab shumar-e-dushmanan mumkin nahin
doston ki hi kami hai aaj kal
jahl ka hai bol baala chaar su
aagahi anqa hui hai aaj kal
lafz ko barta saliqe se magar
manawiyyat ki kami hai aaj kal
naghmagi us mein na sheriyat kahin
shairi be-kaif si hai aaj kal
hai taqaza waqt ka kya kijiye
dushmanon se dosti hai aaj kal
amn gar qaem rahe to kis tarah
sharpasandi baDh gai hai aaj kal
inqalab aaega kaise ai 'zaki'
sarfaroshon ki kami hai aaj kal
- Book : ضبط فغاں(شعری مجموعہ) (Pg. 70)
- Author : کوکب ذکی
- Publication : وشواس پبلی کیشنز ،حیدرآباد (2016)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.