humse to kisi kaam ki buniyaad na howe
ham se to kisī kaam kī buniyād na hove
jab tak ki udhar hī se kuchh imdād na hove
ham ko bhī nahīñ chain tire ġhamzoñ se dilbar
jab tak ki nayā ik sitam ījād na hove
ai aah zarā uThiyo to āhista ki vo jo
thoḌā sā asar hai kahīñ barbād na hove
dī thī ye duā kis ne mire dil ko ilāhī
ujḌe ye ghar aisā ki phir ābād na hove
dekhā na kisī vaqt maiñ hañste hue us ko
ye bhī koī dil hai jo kabhī shaad na hove
bhūle se bhī bhūlo na kabhī ġhairoñ kā tum naam
aur naam hamārā hī tumheñ yaad na hove
kyuuñ dekho ho us kā qad-o-rū bulbul-o-qumrī
kyā samjhe ho tum ye gul-o-shamshād na hove
mar jaa.eñ qafas meñ yuuñ hī ham aah taḌap kar
itnī jo ḳhabar lene ko sayyād na hove
dil jal ke jahāñ surma huā qais kā ab tak
us jā pe jaras pahuñche to fariyād na hove
mere liye qātil bhī agar hove to hove
par ġhair ke haq meñ to vo jallād na hove
vārasta jo ho qaid se hastī ke to behtar
par daam se tere 'hasan' āzād na hove
hum se to kisi kaam ki buniyaad na howe
jab tak ki udhar hi se kuchh imdad na howe
hum ko bhi nahin chain tere ghamzon se dilbar
jab tak ki naya ek sitam ijad na howe
ai aah zara uThiyo to aahista ki wo jo
thoDa sa asar hai kahin barbaad na howe
di thi ye dua kis ne mere dil ko ilahi
ujDe ye ghar aisa ki phir aabaad na howe
dekha na kisi waqt main hanste hue us ko
ye bhi koi dil hai jo kabhi shad na howe
bhule se bhi bhulo na kabhi ghairon ka tum nam
aur nam hamara hi tumhein yaad na howe
kyun dekho ho us ka qad-o-ru bulbul-o-qumri
kya samjhe ho tum ye gul-o-shamshad na howe
mar jaen qafas mein yun hi hum aah taDap kar
itni jo KHabar lene ko sayyaad na howe
dil jal ke jahan surma hua qais ka ab tak
us ja pe jaras pahunche to fariyaad na howe
mere liye qatil bhi agar howe to howe
par ghair ke haq mein to wo jallad na howe
warasta jo ho qaid se hasti ke to behtar
par dam se tere 'hasan' aazad na howe
- Deewan-e-Meer Hasan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.