humse tum ho aur tum se hum bhi hain
humse tum ho aur tum se hum bhi hain
Syed Saddam Gilani Murad
MORE BYSyed Saddam Gilani Murad
ham se tum ho aur tum se ham bhī haiñ
aur is ke darmiyāñ kuchh ġham bhī haiñ
hālat-e-dil hai hamārī zabt meñ
chashm-e-be-parda hamārī nam bhī haiñ
shaah ke dar pe haiñ dīvāne sabhī
aur lahrāte hue parcham bhī haiñ
kah diyā ki jaao ab to hijr hai
paḌ ga.e abrū meñ un ke ḳham bhī haiñ
aaj hai mahfil sajī ik dard kī
aur zulfeñ darham-o-barham bhī haiñ
jo baqā meñ vāris-e-kausar hue
vo fanā meñ vāris-e-zamzam bhī haiñ
aa ga.e haiñ ab sirhāne vo 'murād'
aur ab gintī ke apne dam bhī haiñ
hum se tum ho aur tum se hum bhi hain
aur is ke darmiyan kuchh gham bhi hain
haalat-e-dil hai hamari zabt mein
chashm-e-be-parda hamari nam bhi hain
shah ke dar pe hain diwane sabhi
aur lahraate hue parcham bhi hain
kah diya ki jao ab to hijr hai
paD gae abru mein un ke KHam bhi hain
aaj hai mahfil saji ek dard ki
aur zulfen darham-o-barham bhi hain
jo baqa mein waris-e-kausar hue
wo fana mein waris-e-zamzam bhi hain
aa gae hain ab sirhane wo 'murad'
aur ab ginti ke apne dam bhi hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.