humse ulfat jatai jati hai
ham se ulfat jatā.ī jaatī hai
be-qarārī baḌhā.ī jaatī hai
dekh kar un ke lab pe ḳhanda-e-nūr
niiñd sī ġham ko aa.ī jaatī hai
ġham-e-ulfat ke kār-ḳhāne meñ
zindagī jagmagā.ī jaatī hai
un kī chashm-e-karam pe naaz na kar
yuuñ bhī hastī miTā.ī jaatī hai
bazm meñ dekh rañg-e-āmad-e-dost
raushnī thartharā.ī jaatī hai
dekh ai dil vo uTh rahī hai naqāb
ab nazar āzmā.ī jaatī hai
un ke jaate hī kyā huā dil ko
sham.a sī jhilmilā.ī jaatī hai
terī har ek baat meñ 'ehsān'
ik na ik baat paa.ī jaatī hai
hum se ulfat jatai jati hai
be-qarari baDhai jati hai
dekh kar un ke lab pe KHanda-e-nur
nind si gham ko aai jati hai
gham-e-ulfat ke kar-KHane mein
zindagi jagmagai jati hai
un ki chashm-e-karam pe naz na kar
yun bhi hasti miTai jati hai
bazm mein dekh rang-e-amad-e-dost
raushni thartharai jati hai
dekh ai dil wo uTh rahi hai naqab
ab nazar aazmai jati hai
un ke jate hi kya hua dil ko
shama si jhilmilai jati hai
teri har ek baat mein 'ehsan'
ek na ek baat pai jati hai
- Book : Ghazaliyat-e-ahsaan Danish (Pg. 336)
- Author : Shabnam Parveen
- Publication : Asghar Publishers (2006)
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.