hum shab-e-gham jo ashk-bar rahe
ham shab-e-ġham jo ashk-bār rahe
chāñd taare bhī be-qarār rahe
kaun minnat-kash-e-bahār rahe
haañ ye vīrāna sāzgār rahe
vo hī taskīn kā sahārā the
maiñ ne maanā ki ġham hazār rahe
kabhī gulshan kabhī bayābāñ meñ
ham ba-har-hāl be-qarār rahe
un ko rāhat kī aarzū na huī
jo tire ġham se ham-kanār rahe
vo pashemāñ nahīñ jafā kar ke
ham vafā kar ke sharmsār rahe
hum shab-e-gham jo ashk-bar rahe
chand tare bhi be-qarar rahe
kaun minnat-kash-e-bahaar rahe
han ye virana sazgar rahe
wo hi taskin ka sahaara the
main ne mana ki gham hazar rahe
kabhi gulshan kabhi bayaban mein
hum ba-har-haal be-qarar rahe
un ko rahat ki aarzu na hui
jo tere gham se ham-kanar rahe
wo pasheman nahin jafa kar ke
hum wafa kar ke sharmsar rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.