hum shikasta-dil sitamgar ban gae
ham shikasta-dil sitamgar ban ga.e
aa.ine TuuTe to ḳhanjar ban ga.e
ham parindoñ se hunar chhīnegā kaun
jal gayā ik ghar to sau ghar ban ga.e
vaqt ke dhāre ne badlā vo mizāj
shabnamī qatre samundar ban ga.e
ḳhushnumā gumbad to koī aur hai
ham to buniyādoñ ke patthar ban ga.e
ai ḳhudā apnī ḳhudā.ī dekh le
log to ḳhud hī payambar ban ga.e
ab parindoñ kā vahāñ kyā āshiyāñ
sang-e-marmar ke jahāñ ghar ban ga.e
hum shikasta-dil sitamgar ban gae
aaine TuTe to KHanjar ban gae
hum parindon se hunar chhinega kaun
jal gaya ek ghar to sau ghar ban gae
waqt ke dhaare ne badla wo mizaj
shabnami qatre samundar ban gae
KHushnuma gumbad to koi aur hai
hum to buniyaadon ke patthar ban gae
ai KHuda apni KHudai dekh le
log to KHud hi payambar ban gae
ab parindon ka wahan kya aashiyan
sang-e-marmar ke jahan ghar ban gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.