hum tasawwur mein un ke ubharne lage
ham tasavvur meñ un ke ubharne lage
chashm-e-āhū meñ manzar sañvarne lage
qā.eda kulliya ham nahīñ jānte
sajda karnā thā bas sajda karne lage
ai gunāho batāo kahāñ Thahroge
āsmāñ se sahīfe utarne lage
jab bhī raushan huā hai alaav koī
ham tirī rāhguzar se guzarne lage
pārsā.ī kī hai dhuum ab ke machī
dekho 'jauhar' bhī ab to sudharne lage
hum tasawwur mein un ke ubharne lage
chashm-e-ahu mein manzar sanwarne lage
qaeda kulliya hum nahin jaante
sajda karna tha bas sajda karne lage
ai gunaho batao kahan Thahroge
aasman se sahife utarne lage
jab bhi raushan hua hai alaw koi
hum teri rahguzar se guzarne lage
parsai ki hai dhum ab ke machi
dekho 'jauhar' bhi ab to sudharne lage
- Book : Aiwan (Pg. 30)
- Author : Manazir Ashiq Harganvi & Shahid Nayeem
- Publication : Nirali Duniya (1998)
- Edition : 1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.