hum Thahar pae na kabe mein na but-KHane mein
hum Thahar pae na kabe mein na but-KHane mein
Aashufta Shahjahanpuri
MORE BYAashufta Shahjahanpuri
ham Thahar paa.e na ka.abe meñ na but-ḳhāne meñ
umr guzrī dil-e-shorīda ke bahlāne meñ
aaj tak ho na sake mahram-e-asrār-e-junūñ
barseñ guzrīñ hameñ rahte hue vīrāne meñ
apne to apne rahe ġhair bhī ro dete haiñ
aisī kyā baat hai hamdam mire afsāne meñ
tang hai un ke liye ārzū-e-ishrat-e-dahr
shādmāñ haiñ jo tire ġham ke tarab-ḳhāne meñ
jāñ-gusil hī sahī 'āshufta' ġham-e-dost magar
jān-e-afsāna yahī hai mire afsāne meñ
hum Thahar pae na kabe mein na but-KHane mein
umr guzri dil-e-shorida ke bahlane mein
aaj tak ho na sake mahram-e-asrar-e-junun
barsen guzrin hamein rahte hue virane mein
apne to apne rahe ghair bhi ro dete hain
aisi kya baat hai hamdam mere afsane mein
tang hai un ke liye aarzu-e-ishrat-e-dahr
shadman hain jo tere gham ke tarab-KHane mein
jaan-gusil hi sahi 'ashufta' gham-e-dost magar
jaan-e-afsana yahi hai mere afsane mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.