hum tere bande hamara tu KHuda-wand-e-karim
hum tere bande hamara tu KHuda-wand-e-karim
Basheer-un-Nisa Begum Barq
MORE BYBasheer-un-Nisa Begum Barq
ham tire bande hamārā tū ḳhudā-vand-e-karīm
dast-e-qudrat meñ tire donoñ-jahāñ kī tanzīm
bin tire hukm kī patta nahīñ hiltā hargiz
izn se tere hī chaltī hai zamāne meñ nasīm
tujh se poshīda nahīñ raaz kisī kā koī
ki tirī zaat hai asrār-e-nihānī kī aliim
kar diye 'barq'-e-tajallī ne magar hausle past
tum ko vallāh baḌī duur kī sūjhī thī kalīm
hum tere bande hamara tu KHuda-wand-e-karim
dast-e-qudrat mein tere donon-jahan ki tanzim
bin tere hukm ki patta nahin hilta hargiz
izn se tere hi chalti hai zamane mein nasim
tujh se poshida nahin raaz kisi ka koi
ki teri zat hai asrar-e-nihani ki alim
kar diye 'barq'-e-tajalli ne magar hausle past
tum ko wallah baDi dur ki sujhi thi kalim
- Book : Pathan Shayraat ka Tazkira (Pg. 97)
- Author : Khan Mohammad Atif
- Publication : Khan Mohammad Atif (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.