hum tere gham ko jo purkar bana kar uTThe
ham tire ġham ko jo purkār banā kar uTThe
nafas-e-garm ko talvār banā kar uTThe
aao ham hañste uTheñ bazm-e-dil-āzārāñ se
kaun ehsās ko bīmār banā kar uTThe
raat bhar tajraba-e-ḳhūn-e-jigar ham ne kiyā
sub.h-dam dasht ko gulzār banā kar uTThe
mahfil-e-rāz meñ ham sah ga.e har vahm kī choT
āḳhir ik ishq kā me.aar banā kar uTThe
un nigāhoñ kā taqāzā-e-suḳhan yuuñ thā ki ham
be-zabānī ko bhī ash.ār banā kar uTThe
jab pa.e-fikr-e-suḳhan ham kabhī baiThe 'kausar'
sher ko misr kā bāzār banā kar uTThe
hum tere gham ko jo purkar bana kar uTThe
nafas-e-garm ko talwar bana kar uTThe
aao hum hanste uThen bazm-e-dil-azaran se
kaun ehsas ko bimar bana kar uTThe
raat bhar tajraba-e-KHun-e-jigar hum ne kiya
subh-dam dasht ko gulzar bana kar uTThe
mahfil-e-raaz mein hum sah gae har wahm ki choT
aaKHir ek ishq ka mear bana kar uTThe
un nigahon ka taqaza-e-suKHan yun tha ki hum
be-zabani ko bhi ashaar bana kar uTThe
jab pae-fikr-e-suKHan hum kabhi baiThe 'kausar'
sher ko misr ka bazar bana kar uTThe
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 223)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.