hum tere ishq mein kuchh aaise Thikane lag jaen
ham tire ishq meñ kuchh aaise Thikāne lag jaa.eñ
reg-zāroñ meñ phireñ ḳhaak uḌāne lag jaa.eñ
DhūñDtā rahtā huuñ hāthoñ kī lakīroñ meñ tujhe
chāhtā huuñ mire hāthoñ meñ ḳhazāne lag jaa.eñ
ye alag baat ki tajdīd-e-ta.alluq na huā
par use bhūlnā chāhūñ to zamāne lag jaa.eñ
shahr-e-be-shakl meñ ai kaash kabhī aisā ho
hasb-e-tartīb ka.ī ā.īna-ḳhāne lag jaa.eñ
hum tere ishq mein kuchh aaise Thikane lag jaen
reg-zaron mein phiren KHak uDane lag jaen
DhunDta rahta hun hathon ki lakiron mein tujhe
chahta hun mere hathon mein KHazane lag jaen
ye alag baat ki tajdid-e-talluq na hua
par use bhulna chahun to zamane lag jaen
shahr-e-be-shakl mein ai kash kabhi aisa ho
hasb-e-tartib kai aaina-KHane lag jaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.