hum teri rah mein miT jaenge socha hai yahi
ham tirī raah meñ miT jā.eñge sochā hai yahī
dard-mandān-e-mohabbat kā tarīqa hai yahī
aap hoñ pesh-e-nazar ruuh jo tan se nikle
ai mirī jaañ mirī āñkhoñ kī tamanna hai yahī
ho gayā aam mohabbat kā mirī afsāna
ab to jis bazm meñ jā baiThiye charchā hai yahī
kūcha-e-yār meñ kho jaane ko ham aa.e haiñ
rāsta marhala-e-ishq kā sīdhā hai yahī
dil meñ allāh kā ghar āñkhoñ meñ hazrat kī jagah
merā ka.aba hai yahī merā madīna hai yahī
bahr-e-zaḳhḳhār mohabbat kī nahīñ miltī thaah
jis meñ ham Dūbne vaale haiñ vo dariyā hai yahī
ġhaur se qatre kī jānib jo nazar kī to khulā
ham use qatra ġhalat samjhe the dariyā hai yahī
hai tavakkul mujhe allāh par apne 'akbar'
jis ko kahte haiñ bharosa vo bharosa hai yahī
hum teri rah mein miT jaenge socha hai yahi
dard-mandan-e-mohabbat ka tariqa hai yahi
aap hon pesh-e-nazar ruh jo tan se nikle
ai meri jaan meri aankhon ki tamanna hai yahi
ho gaya aam mohabbat ka meri afsana
ab to jis bazm mein ja baiThiye charcha hai yahi
kucha-e-yar mein kho jaane ko hum aae hain
rasta marhala-e-ishq ka sidha hai yahi
dil mein allah ka ghar aankhon mein hazrat ki jagah
mera kaba hai yahi mera madina hai yahi
bahr-e-zaKHKHar mohabbat ki nahin milti thah
jis mein hum Dubne wale hain wo dariya hai yahi
ghaur se qatre ki jaanib jo nazar ki to khula
hum use qatra ghalat samjhe the dariya hai yahi
hai tawakkul mujhe allah par apne 'akbar'
jis ko kahte hain bharosa wo bharosa hai yahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.