hum to bas ek uqda the hal hone tak
ham to bas ik uqda the hal hone tak
zanjīroñ meñ band the pāgal hone tak
ishq agar hai diin to phir ho jā.eñge
ham bhī murtad is ke mukammal hone tak
maiñ paanī thā sūraj ghuur rahā thā mujhe
kyā kartā be-bas thā bādal hone tak
ab to ḳhair sarāb sī ḳhuub chamaktī hai
aañkh thī dariyā shahr ke jañgal hone tak
mujh meñ bhī thī tez sī ḳhushbū ma.anī kī
mahak rahā thā maiñ bhī mohmal hone tak
ab vo merī aañkh pe īmāñ laayā hai
dasht hī thā ye dil bhī jal-thal hone tak
jhiil kabhī tālāb kabhī dariyā thā kabhī
mere kyā kyā ruup the daldal hone tak
hum to bas ek uqda the hal hone tak
zanjiron mein band the pagal hone tak
ishq agar hai din to phir ho jaenge
hum bhi murtad is ke mukammal hone tak
main pani tha suraj ghur raha tha mujhe
kya karta be-bas tha baadal hone tak
ab to KHair sarab si KHub chamakti hai
aankh thi dariya shahr ke jangal hone tak
mujh mein bhi thi tez si KHushbu mani ki
mahak raha tha main bhi mohmal hone tak
ab wo meri aankh pe iman laya hai
dasht hi tha ye dil bhi jal-thal hone tak
jhil kabhi talab kabhi dariya tha kabhi
mere kya kya rup the daldal hone tak
- Book : Nakhl-e-Aab (Pg. 27)
- Author : Rafeeq Raaz
- Publication : Takbeer Publications, Srinagar (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.