hum to duniya se bad-guman Thahre
ham to duniyā se bad-gumāñ Thahre
aage dil kī ḳhushī jahāñ Thahre
haa.e vo qāfile jo luT kar bhī
zer-e-dīvār-e-gulsitāñ Thahre
aap ko kārvāñ se kyā matlab
aap to mīr-e-kārvāñ Thahre
zindagī chāhtī hai hangāma
aur ham log be-zabāñ Thahre
kabhī terī talāsh meñ nikle
kabhī ban kar tirā nishāñ Thahre
gardish-e-dahr saath saath rahī
ham jidhar bhī ga.e jahāñ Thahre
har qadam par thā ik sanam-ḳhāna
kyā batā.eñ kahāñ kahāñ Thahre
kuchh to kaj-rau jahāñ bhī hai 'bāqī'
aur kuchh ham bhī qissa-ḳhvāñ Thahre
hum to duniya se bad-guman Thahre
aage dil ki KHushi jahan Thahre
hae wo qafile jo luT kar bhi
zer-e-diwar-e-gulsitan Thahre
aap ko karwan se kya matlab
aap to mir-e-karwan Thahre
zindagi chahti hai hangama
aur hum log be-zaban Thahre
kabhi teri talash mein nikle
kabhi ban kar tera nishan Thahre
gardish-e-dahr sath sath rahi
hum jidhar bhi gae jahan Thahre
har qadam par tha ek sanam-KHana
kya bataen kahan kahan Thahre
kuchh to kaj-rau jahan bhi hai 'baqi'
aur kuchh hum bhi qissa-KHwan Thahre
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.