hum to hain pardes mein des mein nikla hoga chand
ham to haiñ pardes meñ des meñ niklā hogā chāñd
apnī raat kī chhat par kitnā tanhā hogā chāñd
jin āñkhoñ meñ kājal ban kar tairī kaalī raat
un āñkhoñ meñ aañsū kā ik qatra hogā chāñd
raat ne aisā peñch lagāyā TuuTī haath se Dor
āñgan vaale niim meñ jā kar aTkā hogā chāñd
chāñd binā har din yuuñ biitā jaise yug biite
mere binā kis haal meñ hogā kaisā hogā chāñd
hum to hain pardes mein des mein nikla hoga chand
apni raat ki chhat par kitna tanha hoga chand
jin aankhon mein kajal ban kar tairi kali raat
un aankhon mein aansu ka ek qatra hoga chand
raat ne aisa pench lagaya TuTi hath se Dor
aangan wale nim mein ja kar aTka hoga chand
chand bina har din yun bita jaise yug bite
mere bina kis haal mein hoga kaisa hoga chand
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.