hum to rote hain rona KHwahish ka
ham to rote haiñ ronā ḳhvāhish kā
vo maza le rahe haiñ bārish kā
sab muqaddar se mil rahā hai yahāñ
zor chaltā rahegā koshish kā
varna duniyā meñ ham nahīñ aate
khel saarā hai āzmā.ish kā
sab parastār us ke ho jaao
Dhang aa jā.egā parastish kā
tujh ko pā kar zamīn raqs meñ hai
khul gayā raaz saarā gardish kā
dil meñ rakhte haiñ yaar kī tasvīr
shauq ham ko nahīñ numā.ish kā
us kī gardan meñ vo harārat hai
lutf miltā hai qurb-e-ātish kā
rail-gāḌī ke intizār meñ huuñ
mil chukā hai pata rihā.ish kā
mujh ko urdu pasand hai kah kar
dil dukhāyā hai us ne english kā
hum to rote hain rona KHwahish ka
wo maza le rahe hain barish ka
sab muqaddar se mil raha hai yahan
zor chalta rahega koshish ka
warna duniya mein hum nahin aate
khel sara hai aazmaish ka
sab parastar us ke ho jao
Dhang aa jaega parastish ka
tujh ko pa kar zamin raqs mein hai
khul gaya raaz sara gardish ka
dil mein rakhte hain yar ki taswir
shauq hum ko nahin numaish ka
us ki gardan mein wo hararat hai
lutf milta hai qurb-e-atish ka
rail-gaDi ke intizar mein hun
mil chuka hai pata rihaish ka
mujh ko urdu pasand hai kah kar
dil dukhaya hai us ne english ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.