ham tum haiñ jo ek phir judā.ī kaisī
dil hī na milā to āshnā.ī kaisī
kāfir na ghamanD rakh ḳhud-ārā.ī kā
sab kuchh hoñ jo but to phir ḳhudā.ī kaisī
niyyat meñ to hai ki pā.ūñ sahbā-e-tahūr
ai shaiḳh ye terī pārsā.ī kaisī
kahtā thā vo bad-zabān hai mat chheḌ 'nasīm'
chaptī to na hogī kyoñ sunā.ī kaisī
hum tum hain jo ek phir judai kaisi
dil hi na mila to aashnai kaisi
kafir na ghamanD rakh KHud-arai ka
sab kuchh hon jo but to phir KHudai kaisi
niyyat mein to hai ki paun sahba-e-tahur
ai shaiKH ye teri parsai kaisi
kahta tha wo bad-zaban hai mat chheD 'nasim'
chapti to na hogi kyon sunai kaisi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.