hum tum jab bhi pyar karenge jaan-o-dil sadqe honge
ham tum jab bhī pyaar kareñge jān-o-dil sadqe hoñge
rūhoñ kī ḳhushbū meñ hoñgī bāhoñ ke gajre hoñge
peshravo tum biit chuke ab ham logoñ kī baarī hai
zindānoñ ke dar to vā hoñ ham aage aage hoñge
gumnāmī kī galiyoñ meñ tārīḳh kahāñ tak pahuñchegī
ek tumhī suqrāt nahīñ ho aur bahut guzre hoñge
husn agar zanjīr kiyā hai ishq bhī phir zanjīr karo
varna baat bahut phailegī duur talak charche hoñge
ai chakvāl se aane vaalo kuchh to hāl-ahvāl kaho
phuul se aariz chāñd se chehre tum ne bhī dekhe hoñge
hum tum jab bhi pyar karenge jaan-o-dil sadqe honge
ruhon ki KHushbu mein hongi bahon ke gajre honge
peshrawo tum bit chuke ab hum logon ki bari hai
zindanon ke dar to wa hon hum aage aage honge
gumnami ki galiyon mein tariKH kahan tak pahunchegi
ek tumhi suqraat nahin ho aur bahut guzre honge
husn agar zanjir kiya hai ishq bhi phir zanjir karo
warna baat bahut phailegi dur talak charche honge
ai chakwal se aane walo kuchh to haal-ahwal kaho
phul se aariz chand se chehre tum ne bhi dekhe honge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.