hum tum the pahle ajnabi na-ashna itne na the
ham tum the pahle ajnabī nā-āshnā itne na the
ham bhī nahīñ the bad-gumāñ tum bhī ḳhafā itne na the
pahle bhī thiiñ tanhā.iyāñ lekin ye sūnā-pan na thā
pahle bhī tum se duur the lekin judā itne na the
gar ham na tum ko mil sake tum kyuuñ kisī ke ho ga.e
maanā ki ham majbūr the tum be-vafā itne na the
ham ne tumhārī aas meñ har dar pe sajda kar liyā
itnī aqīdat bhī na thī pahle ḳhudā itne na the
kar baiThe tark-e-ishq ham chāk-e-garebāñ sī liyā
'naġhma' bhī ḳhud hairān hai ham pārsā itne na the
hum tum the pahle ajnabi na-ashna itne na the
hum bhi nahin the bad-guman tum bhi KHafa itne na the
pahle bhi thin tanhaiyan lekin ye suna-pan na tha
pahle bhi tum se dur the lekin juda itne na the
gar hum na tum ko mil sake tum kyun kisi ke ho gae
mana ki hum majbur the tum be-wafa itne na the
hum ne tumhaari aas mein har dar pe sajda kar liya
itni aqidat bhi na thi pahle KHuda itne na the
kar baiThe tark-e-ishq hum chaak-e-gareban si liya
'naghma' bhi KHud hairan hai hum parsa itne na the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.