hum tumhaare gham se bahar aa gae
ham tumhāre ġham se bāhar aa ga.e
hijr se bachne ke mantar aa ga.e
maiñ ne tum ko andar aane kā kahā
tum to mere dil ke andar aa ga.e
ek hī aurat ko duniyā maan kar
itnā ghūmā huuñ ki chakkar aa ga.e
imtihān-e-ishq mushkil thā magar
naql kar ke achchhe number aa ga.e
hum tumhaare gham se bahar aa gae
hijr se bachne ke mantar aa gae
main ne tum ko andar aane ka kaha
tum to mere dil ke andar aa gae
ek hi aurat ko duniya man kar
itna ghuma hun ki chakkar aa gae
imtihan-e-ishq mushkil tha magar
naql kar ke achchhe number aa gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.