hum tumhein dusre logon se to achchhe paDte
ham tumheñ dūsre logoñ se to achchhe paḌte
ik to me'yār bhī thā dūsrā saste paḌte
'ishq ko sahl to ham bhī nahīñ kahte lekin
ho hī jaatā agar is kaam ke pīchhe paḌte
vo bhī kuchh ḳhaas tavajjoh se kahāñ suntā hai
ham bhī har baat batāte nahīñ puure paḌte
kuchh to hai jo use vīrān kiye rakhtā hai
varna aise hī kisī ko nahīñ halqe paḌte
haañ magar ab tirī tasvīr se vo rabt nahīñ
ik nazar dekh to letā huuñ nikalte paḌte
ḳhvāb meñ bhī maiñ pahuñchtā nahīñ par dekhtā huuñ
ḳhud ko apnī taraf aatā huā girte paḌte
hum tumhein dusre logon se to achchhe paDte
ek to me'yar bhi tha dusra saste paDte
'ishq ko sahl to hum bhi nahin kahte lekin
ho hi jata agar is kaam ke pichhe paDte
wo bhi kuchh KHas tawajjoh se kahan sunta hai
hum bhi har baat batate nahin pure paDte
kuchh to hai jo use viran kiye rakhta hai
warna aise hi kisi ko nahin halqe paDte
han magar ab teri taswir se wo rabt nahin
ek nazar dekh to leta hun nikalte paDte
KHwab mein bhi main pahunchta nahin par dekhta hun
KHud ko apni taraf aata hua girte paDte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.