hum turbat-e-bosida se murdar nikalen
ham turbat-e-bosīda se murdār nikāleñ
auroñ kī zamīnoñ se jo ash.ār nikāleñ
piT jaatā hai paḌhte hī sar-e-bazm vo shahkār
aap apne ta.iiñ jaisā bhī shahkār nikāleñ
jāñ-kāvī hai ye kaam nahīñ aap ke bas kā
ash.ār nahīñ shaam kā aḳhbār nikāleñ
khul jā.egā saarā hī bharam ḳhush-suḳhanī kā
mahfil se zarā hāshiya-bardār nikāleñ
alfāz ke nashtar ne jigar chiir diyā hai
behtar hai zabāñ rok ke talvār nikāleñ
hum turbat-e-bosida se murdar nikalen
auron ki zaminon se jo ashaar nikalen
piT jata hai paDhte hi sar-e-bazm wo shahkar
aap apne tain jaisa bhi shahkar nikalen
jaan-kawi hai ye kaam nahin aap ke bas ka
ashaar nahin sham ka aKHbar nikalen
khul jaega sara hi bharam KHush-suKHani ka
mahfil se zara hashiya-bardar nikalen
alfaz ke nashtar ne jigar chir diya hai
behtar hai zaban rok ke talwar nikalen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.