hum unki anjuman ka saman ban ke rah gae
ham un kī anjuman kā samāñ ban ke rah ga.e
sar-tā-qadam nigāh o zabāñ ban ke rah ga.e
palTe muqaddarāt kuchh is taur se ki ham
tasvīr-e-inqilāb-e-jahāñ ban ke rah ga.e
mazlūm dil kī talḳh-navā.ī to dekhnā
naġhme jo lab tak aa.e fuġhāñ ban ke rah ga.e
ab ham haiñ aur haqīqat-e-ālām hai 'shakīl'
lamhe ḳhushī ke ḳhvāb-e-girāñ ban ke rah ga.e
hum un ki anjuman ka saman ban ke rah gae
sar-ta-qadam nigah o zaban ban ke rah gae
palTe muqaddaraat kuchh is taur se ki hum
taswir-e-inqilab-e-jahan ban ke rah gae
mazlum dil ki talKH-nawai to dekhna
naghme jo lab tak aae fughan ban ke rah gae
ab hum hain aur haqiqat-e-alam hai 'shakil'
lamhe KHushi ke KHwab-e-giran ban ke rah gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.