hum un ko chhin kar lae hain kitne dawedaron se
ham un ko chhīn kar laa.e haiñ kitne dāvedāroñ se
shafaq se chāñdnī-rātoñ se phūloñ se sitāroñ se
hamāre zaḳhm-e-dil dāġh-e-jigar kuchh milte-julte haiñ
guloñ se gul-ruḳhoñ se mahvashoñ se māh-pāroñ se
zamāne meñ kabhī bhī qismateñ badlā nahīñ kartīñ
umīdoñ se bharosoñ se dilāsoñ se sahāroñ se
sune koī to ab bhī raushnī āvāz detī hai
guphāoñ se pahāḌoñ se bayābānoñ se ġhāroñ se
barābar ek pyāsī ruuh kī āvāz aatī hai
kuoñ se pan-ghaToñ se naddiyoñ se ābshāroñ se
kabhī patthar ke dil ai 'kaif' pighle haiñ na pighleñge
munājātoñ se fariyādoñ se chīḳhoñ se pukāroñ se
hum un ko chhin kar lae hain kitne dawedaron se
shafaq se chandni-raaton se phulon se sitaron se
hamare zaKHm-e-dil dagh-e-jigar kuchh milte-julte hain
gulon se gul-ruKHon se mahwashon se mah-paron se
zamane mein kabhi bhi qismaten badla nahin kartin
umidon se bharoson se dilason se sahaaron se
sune koi to ab bhi raushni aawaz deti hai
guphaon se pahaDon se bayabanon se ghaaron se
barabar ek pyasi ruh ki aawaz aati hai
kuon se pan-ghaTon se naddiyon se aabshaaron se
kabhi patthar ke dil ai 'kaif' pighle hain na pighlenge
munajaton se fariyaadon se chiKHon se pukaron se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.