hum wafa karte hain hum par jaur koi kyun kare
ham vafā karte haiñ ham par jaur koī kyuuñ kare
jab hai be-ġhaurī to ye bhī ġhaur koī kyuuñ kare
iltijā-e-vasl par mahshar meñ vo kahne lage
apne va.ade kī vafā fil-faur koī kyuuñ kare
baat kis kī baat merī kaun 'muztar' dhyān de
haal kis kā haal merā ġhaur koī kyuuñ kare
hum wafa karte hain hum par jaur koi kyun kare
jab hai be-ghauri to ye bhi ghaur koi kyun kare
iltija-e-wasl par mahshar mein wo kahne lage
apne wade ki wafa fil-faur koi kyun kare
baat kis ki baat meri kaun 'muztar' dhyan de
haal kis ka haal mera ghaur koi kyun kare
- Book : Khirman (Part-11) (Pg. 317)
- Author : Muztar Khairabadi
- Publication : Javed Akhtar (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.