hum wafadar hain aur is se ziyaada kya hon
ham vafādār haiñ aur is se ziyāda kyā hoñ
bas tire yaar haiñ aur is se ziyāda kyā hoñ
ek hī sach ne hameñ aisā kiyā sar-afrāz
barsar-e-dār haiñ aur is se ziyāda kyā hoñ
maiñ akelā huuñ mirī jaan ke dushman aflāk
ek do chaar haiñ aur is se ziyāda kyā hoñ
naam sunte hī mirā āg-bagūlā ho jaa.eñ
mujh se bezār haiñ aur is se ziyāda kyā hoñ
umr bhar baat pe qaa.em rahe 'fartāsh' ki ham
ahl-e-kirdār haiñ aur is se ziyāda kyā hoñ
hum wafadar hain aur is se ziyaada kya hon
bas tere yar hain aur is se ziyaada kya hon
ek hi sach ne hamein aisa kiya sar-afraaz
barsar-e-dar hain aur is se ziyaada kya hon
main akela hun meri jaan ke dushman aflak
ek do chaar hain aur is se ziyaada kya hon
nam sunte hi mera aag-bagula ho jaen
mujh se bezar hain aur is se ziyaada kya hon
umr bhar baat pe qaem rahe 'fartash' ki hum
ahl-e-kirdar hain aur is se ziyaada kya hon
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.