ham-watan tha aashna tha raat-din milta tha wo
ham-watan tha aashna tha raat-din milta tha wo
Syed Niyaz Ali Niyaz
MORE BYSyed Niyaz Ali Niyaz
ham-vatan thā āshnā thā rāt-din miltā thā vo
us meñ kuchh thī aisī bāteñ ajnabī lagtā thā vo
ab tabassum-rez āñkhoñ meñ namī dil daaġh daaġh
bātoñ bātoñ meñ kisī din gar kabhī khultā thā vo
mo'tarif haiñ mahfileñ vo mahfiloñ kī jaan thā
log kyā jāneñ kahāñ kis haal meñ rahtā thā vo
aaj us kī ḳhairiyat bhī pūchhtā koī nahīñ
sau taraf se haath uThte raah jab chaltā thā vo
shaḳhsiyat meñ thī 'niyāz' us kī ajab sī ik kashish
muñh se us ke phuul jhaḌte baat jab kartā thā vo
ham-watan tha aashna tha raat-din milta tha wo
us mein kuchh thi aisi baaten ajnabi lagta tha wo
ab tabassum-rez aankhon mein nami dil dagh dagh
baaton baaton mein kisi din gar kabhi khulta tha wo
mo'tarif hain mahfilen wo mahfilon ki jaan tha
log kya jaanen kahan kis haal mein rahta tha wo
aaj us ki KHairiyat bhi puchhta koi nahin
sau taraf se hath uThte rah jab chalta tha wo
shaKHsiyat mein thi 'niyaz' us ki ajab si ek kashish
munh se us ke phul jhaDte baat jab karta tha wo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.