Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hum wo nalan hain boli-Tholi mein

Shad Lakhnavi

hum wo nalan hain boli-Tholi mein

Shad Lakhnavi

MORE BYShad Lakhnavi

    ham vo nālāñ haiñ bolī-Tholī meñ

    bulbuloñ ko jo leñ ThiTholī meñ

    jāma-zeboñ se us ko nisbat kyā

    laakh TukḌe haiñ gul cholī meñ

    rañj-e-ġham khāne ko ḳhudā ne diyā

    kyā nahīñ mujh gadā jholī meñ

    alf-lailā sune vo gul to sunā.eñ

    bulbuleñ ik hazār bolī meñ

    ḳhūn-e-nāhaq hamārā uchhlegā

    rañg laayā jo shoḳh holī meñ

    chashm-e-ibrat se dekh parda-nashīñ

    shakl tābūt hai Dolī meñ

    sabza-e-ḳhat ho kyuuñ na jauhar-e-ḳhāl

    zahr tiryāk hai golī meñ

    bosa us sarv-e-qad se ham āzād

    maañg lete haiñ bolī-Tholī meñ

    'shād' ro ro diyā hai shabnam ne

    jab guloñ ne liyā ThiTholī meñ

    hum wo nalan hain boli-Tholi mein

    bulbulon ko jo len ThiTholi mein

    jama-zebon se us ko nisbat kya

    lakh TukDe hain gul ki choli mein

    ranj-e-gham khane ko KHuda ne diya

    kya nahin mujh gada ki jholi mein

    alf-laila sune wo gul to sunaen

    bulbulen ek hazar boli mein

    KHun-e-nahaq hamara uchhlega

    rang laya jo shoKH holi mein

    chashm-e-ibrat se dekh parda-nashin

    shakl tabut ki hai Doli mein

    sabza-e-KHat ho kyun na jauhar-e-KHal

    zahr tiryak ki hai goli mein

    bosa us sarw-e-qad se hum aazad

    mang lete hain boli-Tholi mein

    'shad' ro ro diya hai shabnam ne

    jab gulon ne liya ThiTholi mein

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now