hum yar ki ghairon pe nazar dekh rahe hain
ham yaar kī ġhairoñ pe nazar dekh rahe haiñ
go muñh pe na lā.eñge magar dekh rahe haiñ
muñh merī taraf hai to nazar ġhair kī jānib
karte haiñ kidhar baat kidhar dekh rahe haiñ
kai roz raqīboñ se nibhī rasm-e-mohabbat
ham bhī yahī ai rashk-e-qamar dekh rahe haiñ
qāsid se jo bīmār bahut mujh ko sunā thā
aḳhbār meñ marne kī ḳhabar dekh rahe haiñ
pursāñ nahīñ koī bhī 'nasīm' ahl-e-hunar kā
duniyā kī havā shaam o sahar dekh rahe haiñ
hum yar ki ghairon pe nazar dekh rahe hain
go munh pe na laenge magar dekh rahe hain
munh meri taraf hai to nazar ghair ki jaanib
karte hain kidhar baat kidhar dekh rahe hain
kai roz raqibon se nibhi rasm-e-mohabbat
hum bhi yahi ai rashk-e-qamar dekh rahe hain
qasid se jo bimar bahut mujh ko suna tha
aKHbar mein marne ki KHabar dekh rahe hain
pursan nahin koi bhi 'nasim' ahl-e-hunar ka
duniya ki hawa sham o sahar dekh rahe hain
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 152)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.