hum ye to nahin kahte ki gham kah nahin sakte
ham ye to nahīñ kahte ki ġham kah nahīñ sakte
par jo sabab-e-ġhum hai vo ham kah nahīñ sakte
ham dekhte haiñ tum meñ ḳhudā jaane buto kyā
is bhed ko allāh kī qasam kah nahīñ sakte
rusvā-e-jahāñ kartā hai ro ro ke hameñ tū
ham tujhe kuchh ai dīda-e-nam kah nahīñ sakte
kyā pūchhtā hai ham se tū ai shoḳh sitamgar
jo tū ne kiye ham pe sitam kah nahīñ sakte
hai sabr jinheñ talḳh-kalāmī ko tumhārī
sharbat hī batāte haiñ sam kah nahīñ sakte
jab kahte haiñ kuchh baat rukāvaT kī tire ham
ruk jaatā hai ye siine meñ dam kah nahīñ sakte
allāh re tirā ro'b ki ahvāl-e-dil apnā
de dete haiñ ham kar ke raqam kah nahīñ sakte
tubā-e-bahishtī hai tumhārā qad-e-ra.anā
ham kyūñkar kaheñ sarv-e-iram kah nahīñ sakte
jo ham pe shab-e-hijr meñ us māh-e-laqā ke
guzre haiñ 'zafar' ranj-o-alam kah nahīñ sakte
hum ye to nahin kahte ki gham kah nahin sakte
par jo sabab-e-ghum hai wo hum kah nahin sakte
hum dekhte hain tum mein KHuda jaane buto kya
is bhed ko allah ki qasam kah nahin sakte
ruswa-e-jahan karta hai ro ro ke hamein tu
hum tujhe kuchh ai dida-e-nam kah nahin sakte
kya puchhta hai hum se tu ai shoKH sitamgar
jo tu ne kiye hum pe sitam kah nahin sakte
hai sabr jinhen talKH-kalami ko tumhaari
sharbat hi batate hain sam kah nahin sakte
jab kahte hain kuchh baat rukawaT ki tere hum
ruk jata hai ye sine mein dam kah nahin sakte
allah re tera ro'b ki ahwal-e-dil apna
de dete hain hum kar ke raqam kah nahin sakte
tuba-e-bahishti hai tumhaara qad-e-rana
hum kyunkar kahen sarw-e-iram kah nahin sakte
jo hum pe shab-e-hijr mein us mah-e-laqa ke
guzre hain 'zafar' ranj-o-alam kah nahin sakte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.