hamara dil kuchh bahak raha hai
hamārā dil kuchh bahak rahā hai
gulāb jaisā mahak rahā hai
tumheñ kuchh apne qarīb pā kar
hamārā dil bhī dhaḌak rahā hai
jo ek muddat pe tum mile ho
ḳhushī se aañsū chhalak rahā hai
hamārā dil bhī ḳhushī se ab to
misāl-e-bulbul chahak rahā hai
tumhārī sūrat meñ us kā naqsha
zarā ‘shabāhat’ jhalak rahā hai
hamara dil kuchh bahak raha hai
gulab jaisa mahak raha hai
tumhein kuchh apne qarib pa kar
hamara dil bhi dhaDak raha hai
jo ek muddat pe tum mile ho
KHushi se aansu chhalak raha hai
hamara dil bhi KHushi se ab to
misal-e-bulbul chahak raha hai
tumhaari surat mein us ka naqsha
zara ‘shabahat’ jhalak raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.