hamara KHwab agar KHwab ki KHabar rakkhe
hamārā ḳhvāb agar ḳhvāb kī ḳhabar rakkhe
to ye charāġh bhī mahtāb kī ḳhabar rakkhe
uThā na pā.egī āsūdgī thakan kā bojh
safar kī gard hī āsāb kī ḳhabar rakkhe
tamām shahr giraftār hai aziyyat meñ
kise kahūñ mire ahbāb kī ḳhabar rakkhe
nahīñ hai fikr agar shahr kī makānoñ ko
to koī dasht hī sailāb kī ḳhabar rakkhe
hamara KHwab agar KHwab ki KHabar rakkhe
to ye charagh bhi mahtab ki KHabar rakkhe
uTha na paegi aasudgi thakan ka bojh
safar ki gard hi aasab ki KHabar rakkhe
tamam shahr giraftar hai aziyyat mein
kise kahun mere ahbab ki KHabar rakkhe
nahin hai fikr agar shahr ki makanon ko
to koi dasht hi sailab ki KHabar rakkhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.