hamara man bhi usi mein magan raha hoga
hamara man bhi usi mein magan raha hoga
Dheerendra Singh Faiyaz
MORE BYDheerendra Singh Faiyaz
hamārā man bhī usī meñ magan rahā hogā
usī kā dhyān hameñ ādatan rahā hogā
vo jis ko toḌne kā terā man rahā hogā
qafas thā ruuh kā ya.anī badan rahā hogā
tabhī to ḳhuub bahut ḳhuub lag rahī thī ġhazal
tire ḳhayāl kā hī pairahan rahā hogā
adā-e-rasm-e-falak kār-e-āḳhirī kar ke
libās chāñd dobāra pahan rahā hogā
maiñ chauñktā hī nahīñ gar mujhe ḳhabar hotī
vo terā aanā hī phir daf.atan rahā hogā
sunā hai zikr pe mere bahut thā sanjīda
vo aisā hai to nahīñ aisā ban rahā hogā
shikan khulī jo jabīñ se to ban ga.ī aañsū
hamārī fikr meñ kuchh ḳhaas fan rahā hogā
hamara man bhi usi mein magan raha hoga
usi ka dhyan hamein aadatan raha hoga
wo jis ko toDne ka tera man raha hoga
qafas tha ruh ka yani badan raha hoga
tabhi to KHub bahut KHub lag rahi thi ghazal
tere KHayal ka hi pairahan raha hoga
ada-e-rasm-e-falak kar-e-aKHiri kar ke
libas chand dobara pahan raha hoga
main chaunkta hi nahin gar mujhe KHabar hoti
wo tera aana hi phir dafatan raha hoga
suna hai zikr pe mere bahut tha sanjida
wo aisa hai to nahin aisa ban raha hoga
shikan khuli jo jabin se to ban gai aansu
hamari fikr mein kuchh KHas fan raha hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.