hamara pyar dikhawe ka pyar thoDi hai
hamārā pyaar dikhāve kā pyaar thoḌī hai
ḳhulūs-e-dil hai koī ishtihār thoḌī hai
ye bādshāhoñ sā lahja badal mire bhaa.ī
ki ab yahāñ pe tirā eqtidār thoḌī hai
ġharīb-e-shahr tavangar se kah rahā thā ki tū
amīr-e-shahr hai parvardigār thoḌī hai
mire phaTe hue dāman pe hañsne vaale sun
ye taar taar sahī dāġh-dār thoḌī hai
yazīdiyat meñ nadāmat hai fat.h pā kar bhī
husainiyat kī shahādat meñ baar thoḌī hai
hazār jaan luTā.ūñ vatan pe maiñ 'sājid'
vafā-shi.āroñ meñ merā shumār thoḌī hai
hamara pyar dikhawe ka pyar thoDi hai
KHulus-e-dil hai koi ishtihaar thoDi hai
ye baadshahon sa lahja badal mere bhai
ki ab yahan pe tera eqtidar thoDi hai
gharib-e-shahr tawangar se kah raha tha ki tu
amir-e-shahr hai parwardigar thoDi hai
mere phaTe hue daman pe hansne wale sun
ye tar tar sahi dagh-dar thoDi hai
yazidiyat mein nadamat hai fath pa kar bhi
husainiyat ki shahadat mein bar thoDi hai
hazar jaan luTaun watan pe main 'sajid'
wafa-shiaron mein mera shumar thoDi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.