hamara zikr kisi ki zaban tak aa gaya tha
hamārā zikr kisī kī zabāñ tak aa gayā thā
vo nafā chhoḌ ke āḳhir ziyāñ tak aa gayā thā
duā ke saath meñ ashkoñ ke haar bhejtā thā
ki sabr TuuT ke āh-o-fuġhāñ tak aa gayā thā
hamāre dil se parī-zād pīTte nikle
ki vo jo asl makīñ thā makāñ tak aa gayā thā
hamāre paas suhūlat thī sher kahne kī
so zaḳhm suukh ke jaldī nishāñ tak aa gayā thā
ab is se baḌh kar use aur kyā ḳhasārā ho
yaqīn TuuT ke vāpas gumāñ tak aa gayā thā
hamara zikr kisi ki zaban tak aa gaya tha
wo nafa chhoD ke aaKHir ziyan tak aa gaya tha
dua ke sath mein ashkon ke haar bhejta tha
ki sabr TuT ke aah-o-fughan tak aa gaya tha
hamare dil se pari-zad piTte nikle
ki wo jo asl makin tha makan tak aa gaya tha
hamare pas suhulat thi sher kahne ki
so zaKHm sukh ke jaldi nishan tak aa gaya tha
ab is se baDh kar use aur kya KHasara ho
yaqin TuT ke wapas guman tak aa gaya tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.