hamare bich ka rishta samajh lo
hamāre biich kā rishta samajh lo
use āñkheñ mujhe sapnā samajh lo
samajhte ho agar ḳhud ko kināra
mujhe aisā karo dariyā samajh lo
nahīñ paḌtā mujhe ab farq koī
burā samjho ki phir achchhā samajh lo
khilaunā samjhā jis ne tum ko ab tak
chalo tum bhī use bachcha samajh lo
ye hamdardī to fitrat hai hamārī
batā duuñ tum na jaane kyā samajh lo
kabhī puure nahīñ hote jo sapne
mujhe bhī tum vahī 'sapnā' samajh lo
hamare bich ka rishta samajh lo
use aankhen mujhe sapna samajh lo
samajhte ho agar KHud ko kinara
mujhe aisa karo dariya samajh lo
nahin paDta mujhe ab farq koi
bura samjho ki phir achchha samajh lo
khilauna samjha jis ne tum ko ab tak
chalo tum bhi use bachcha samajh lo
ye hamdardi to fitrat hai hamari
bata dun tum na jaane kya samajh lo
kabhi pure nahin hote jo sapne
mujhe bhi tum wahi 'sapna' samajh lo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.