hamare darmiyan ahd-e-shab-e-mahtab zinda hai
hamāre darmiyāñ ahd-e-shab-e-mahtāb zinda hai
havā chupke se kahtī hai abhī ik ḳhvāb zinda hai
ye kis kī narm ḳhushbū hai mirī shab kī havelī meñ
ye kaisā raqs-e-mastī ai dil-e-betāb zinda hai
kahāñ vo sāñvlī shāmeñ kahāñ vo reshmī bāteñ
magar ik lams-e-hairāñ kā abhī zarnāb zinda hai
abhī tak pāniyoñ meñ surma.ī saa.e utarte haiñ
abhī tak dhaḌkanoñ meñ dard kī mizrāb zinda hai
sirāt-e-ishq hai aur hijr kī tanhā masāfat hai
vahī hai tishnagī phir bhī fareb-e-āb zinda hai
hamare darmiyan ahd-e-shab-e-mahtab zinda hai
hawa chupke se kahti hai abhi ek KHwab zinda hai
ye kis ki narm KHushbu hai meri shab ki haweli mein
ye kaisa raqs-e-masti ai dil-e-betab zinda hai
kahan wo sanwli shamen kahan wo reshmi baaten
magar ek lams-e-hairan ka abhi zarnab zinda hai
abhi tak paniyon mein surmai sae utarte hain
abhi tak dhaDkanon mein dard ki mizrab zinda hai
siraat-e-ishq hai aur hijr ki tanha masafat hai
wahi hai tishnagi phir bhi fareb-e-ab zinda hai
- Book : Ghazal Calendar-2015 (Pg. 24.12.2015)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.