hamare dil ko taDpaya bahut hai
hamāre dil ko taḌpāyā bahut hai
sitamgar ne sitam Dhāyā bahut hai
kabhī to aa.egā mausam ḳhushī kā
lahū āñkhoñ ne barsāyā bahut hai
ujāle jab munazzam ho ga.e haiñ
añdherā phir to ghabrāyā bahut hai
kahāñ maiñ jā.ūñgā mere liye to
tirī dīvār kā saaya bahut hai
tū kyoñ rahbar ke pīchhe chal rahe ho
agar rahbar ne bhaTkāyā bahut hai
qadam dariyā meñ jo rakhtā nahīñ ab
vo tūfānoñ se Takrāyā bahut hai
tahī-dāman 'kamāl-anvar' hai lekin
adab kā phir bhī sarmāya bahut hai
hamare dil ko taDpaya bahut hai
sitamgar ne sitam Dhaya bahut hai
kabhi to aaega mausam KHushi ka
lahu aankhon ne barsaya bahut hai
ujale jab munazzam ho gae hain
andhera phir to ghabraya bahut hai
kahan main jaunga mere liye to
teri diwar ka saya bahut hai
tu kyon rahbar ke pichhe chal rahe ho
agar rahbar ne bhaTkaya bahut hai
qadam dariya mein jo rakhta nahin ab
wo tufanon se Takraya bahut hai
tahi-daman 'kamal-anwar' hai lekin
adab ka phir bhi sarmaya bahut hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.