hamare dil mein ab talKHi nahin hai
hamāre dil meñ ab talḳhī nahīñ hai
magar vo baat pahle sī nahīñ hai
mujhe māyūs bhī kartī nahīñ hai
yahī aadat tirī achchhī nahīñ hai
bahut se fā.ede haiñ maslahat meñ
magar dil kī to ye marzī nahīñ hai
har ik kī dāstāñ sunte haiñ jaise
kabhī ham ne mohabbat kī nahīñ hai
hai ik darvāze bin dīvār-e-duniyā
mafar ġham se yahāñ koī nahīñ hai
hamare dil mein ab talKHi nahin hai
magar wo baat pahle si nahin hai
mujhe mayus bhi karti nahin hai
yahi aadat teri achchhi nahin hai
bahut se faede hain maslahat mein
magar dil ki to ye marzi nahin hai
har ek ki dastan sunte hain jaise
kabhi hum ne mohabbat ki nahin hai
hai ek darwaze bin diwar-e-duniya
mafar gham se yahan koi nahin hai
- Book : Lava (Pg. 139)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.