hamare dil mein wahi aks-e-yar ab bhi hai
hamare dil mein wahi aks-e-yar ab bhi hai
Bushra Bakhtiyar Khan
MORE BYBushra Bakhtiyar Khan
hamāre dil meñ vahī aks-e-yār ab bhī hai
murād ye hai ki har pal bahār ab bhī hai
tumhārī aañkh se bas aañkh hī milā.ī thī
hamārī ruuh meñ us kā ḳhumār ab bhī hai
tumheñ to farq nahīñ paḌtā ham mileñ na mileñ
tumhāre dil pe anā kā ġhubār ab bhī hai
agar ho vaqt kabhī aa ke dekh jaanā zarā
tumhāre ġham meñ koī be-qarār ab bhī hai
ham us se ruuTh ga.e duur ho ga.e 'bushrā'
magar ḳhudā kī qasam us se pyaar ab bhī hai
hamare dil mein wahi aks-e-yar ab bhi hai
murad ye hai ki har pal bahaar ab bhi hai
tumhaari aankh se bas aankh hi milai thi
hamari ruh mein us ka KHumar ab bhi hai
tumhein to farq nahin paDta hum milen na milen
tumhaare dil pe ana ka ghubar ab bhi hai
agar ho waqt kabhi aa ke dekh jaana zara
tumhaare gham mein koi be-qarar ab bhi hai
hum us se ruTh gae dur ho gae 'bushra'
magar KHuda ki qasam us se pyar ab bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.