hamare gham ka charcha ho raha hai
hamāre ġham kā charchā ho rahā hai
ajab jashn-e-tamannā ho rahā hai
maiñ bāhar se uchak kar dekhtā huuñ
mire andar tamāshā ho rahā hai
na.e kī fikr meñ ham ghul rahe haiñ
nayā har pal purānā ho rahā hai
badan meñ chubh rahī hai tez bārish
nadī kā zaḳhm gahrā ho rahā hai
tumhārī yaad dhundlī paḌ rahī hai
to kyā qismat kā likkhā ho rahā hai
khudā.ī chal rahī hai dil-zamīñ par
purānā shahr zinda ho rahā hai
hamare gham ka charcha ho raha hai
ajab jashn-e-tamanna ho raha hai
main bahar se uchak kar dekhta hun
mere andar tamasha ho raha hai
nae ki fikr mein hum ghul rahe hain
naya har pal purana ho raha hai
badan mein chubh rahi hai tez barish
nadi ka zaKHm gahra ho raha hai
tumhaari yaad dhundli paD rahi hai
to kya qismat ka likkha ho raha hai
khudai chal rahi hai dil-zamin par
purana shahr zinda ho raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.