hamare ghar ka ajib-o-gharib manzar hai
hamāre ghar kā ajīb-o-ġharīb manzar hai
kahīñ to aag lagī hai kahīñ samundar hai
vo fāsle haiñ ki miTte nahīñ kisī sūrat
safar kā bhuut shab-o-roz mere sar par hai
vo ek lafz jo unvān-e-guftugū bantā
vo ek lafz mirī dastaras se bāhar hai
kisī kī āhaTeñ dil ko hilā.e detī haiñ
zarūr koī mere jism-o-jāñ ke andar hai
hamare ghar ka ajib-o-gharib manzar hai
kahin to aag lagi hai kahin samundar hai
wo fasle hain ki miTte nahin kisi surat
safar ka bhut shab-o-roz mere sar par hai
wo ek lafz jo unwan-e-guftugu banta
wo ek lafz meri dastaras se bahar hai
kisi ki aahaTen dil ko hilae deti hain
zarur koi mere jism-o-jaan ke andar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.