hamare haal se koi jo ba-KHabar rahta
hamāre haal se koī jo bā-ḳhabar rahtā
ḳhayāl us kā hameñ bhī to umr-bhar rahtā
jise bhī ḳhvāhish-e-dīvār-o-dar ho sahrā meñ
vo kam-nasīb to achchhā thā apne ghar rahtā
havā se TuuT ke girnā mirā muqaddar thā
ki zard pattā thā kyūñkar maiñ shāḳh par rahtā
jo dekhtā huuñ zamāne kī nā-shanāsī ko
ye sochtā huuñ ki achchhā thā be-hunar rahtā
hamārī vaj.h se hotī na terī rusvā.ī
hamāre saath agar tū na is qadar rahtā
tazād qaul-o-amal meñ ho jis ke ai 'nādir'
vo shaḳhs kaise nigāhoñ meñ mo'atabar rahtā
hamare haal se koi jo ba-KHabar rahta
KHayal us ka hamein bhi to umr-bhar rahta
jise bhi KHwahish-e-diwar-o-dar ho sahra mein
wo kam-nasib to achchha tha apne ghar rahta
hawa se TuT ke girna mera muqaddar tha
ki zard patta tha kyunkar main shaKH par rahta
jo dekhta hun zamane ki na-shanasi ko
ye sochta hun ki achchha tha be-hunar rahta
hamari wajh se hoti na teri ruswai
hamare sath agar tu na is qadar rahta
tazad qaul-o-amal mein ho jis ke ai 'nadir'
wo shaKHs kaise nigahon mein mo'atabar rahta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.